Yahudáh 1:10 - Kitab-i Muqaddas10 Lekin yih log har aisī bāt ke bāre meṅ kufr bakte haiṅ jo un kī samajh meṅ nahīṅ ātī. Aur jo kuchh wuh fitrī taur par besamajh jānwaroṅ kī tarah samajhte haiṅ wuhī unheṅ tabāh kar detā hai. Viz kapitolaKitáb i Muqaddas 1955 (Tauret Zabúr Ambiyá ke Sahífa aur Injíl)10 Magar yih jin bátoṉ ko nahíṉ jánte un par laʻn taʻn karte haiṉ: aur jin ko beʻaql jánwaroṉ kí tarah tabaʻí taur par jánte haiṉ, un meṉ apne áp ko ḳharáb karte haiṉ. Viz kapitola |